Movie
KASHMIR
Singers
ZOHRA BAI

agar kisi se mohabbat na ki
to kuchh na kiya
mare bagair kisi par
koyi jiya na jiya

(samajh lo nazar se
samajh lo nazar se
ishaara kisi ka
ke dil chaahata hai
sahaara kisi kaa) - 2
samajh lo nazar se

nazar mein samaati nahin koyi suurat
nigaahon ko bhaati nahin koyi muurat
ke dekha hai jab se - 2
nazaara kisi ka

ke dil chaahata hai
sahaara kisi ka
samajh lo nazar se - 2

muhabbat ke badale mein imaan le lo
agar jaan kaam aa sake jaan le lo
magar dil na todo - 2
kudaara kisi ka

ke dil chaahata hai
sahaara kisi ka
samajh lo nazar se - 2

na rang-e-mohabbat na buu-e-wafa hai
ghazab hai ke aison se paala aa pada hai
samajhate nahin jo - 2
ishaara kisi ka

ke dil chaahata hai
sahaara kisi ka
samajh lo nazar se - 2

Theme by Danetsoft and Danang Probo Sayekti inspired by Maksimer