e bhanwara
madhuban mein mat ja re bhanwara
madhuban mein mat ja
abhi kamal ki kali khili na - 2
tu kyuun guunj raha re bhanwara - 2
madhuban mein mat ja re bhanwara
madhuban mein mat ja
ruup-rang ka lobhi-rasiya - 2
sab ke gun mat ga o rasiye
sab ke gun mat ga
neh laga le ek kali se - 2
kali-kali mat ja re bhanware - 2
madhuban mein mat ja re bhanwara
madhuban mein mat ja
kis kaaran tu pad gaya kaala - 2
itani baat bata o rasiya
itani baat bata
udana sikha nahin kali ne - 2
man mein dhiraj la re bhanwara - 2
madhuban mein mat ja re bhanwara
madhuban mein mat ja